Saturday, 20 February 2016

NAAJANE KAHA HAI...

Peetal ke thaalo mein thandi se roti
Nivala vo maa ka najane kaha hai

Rango ke rang me rang hai vo kala Malala yaha pe najane kaha hai

Dikhti hai mujhko chirago ki baati
Vafa ka vo sooraj najane kaha hai

Vo bachpan gaya , vo javani gai ab
Vo bacha sa Buddha najane kaha hai

Hatho pe tere  lal laga hai ,
Darta vo Chehra najane kaha hai

Vo Ambar yaha hai ,  Vo Parvat yaha hai
Vo rota kabootar najane kaha hai

Kalio  ki chadar pe jugnoo ka mela
 vo hasta sa chehra najane kaha hai

Khwabo ki duniya mein chalta chala ja
Hakekat ki duniya najane kaha hai

Maa ki vo goodi , or meethi se Lori,
Behnoo ki siski najane kaha hai

Ujale mein saaya sang chalta chala jaye
Raato mein saaya najane kaha hai

Jawani ki masti mein khota  sa bachpan
Vo kagaz ki kashti najane kaha hai

Nigaho mein tere osiin ke aansu
Samander ke aansu najane kaha hai

Chata liye tu bas badta chala jaye
Vo chehre pe phoot ti  boonde kaha hai

Jharokhe se meera  ne dekha tha unko
Vo resham se mahobat najane kaha hai

Nook ke neeche shabdoo ka ghera
Vo kitabo ki khushboo najane kaha hai

Poorabh yaha hai pashim yaha
Vo daago mein dooba mama kaha hai..

Soti kahani mein najane kaha hai
Angdai  Jo tooti ..... To najane kaha hai...




No comments:

Post a Comment