Thursday, 30 July 2015

BURA MAAN GAYE...

Bewafa Keh ke Pukara to bura maan  gaye
Aaina Saamne aaya to bura maan gaye
Unki Har Raat Diwali ki Tara Guzarti Hai
Humne ek Deepak Jalaya  to bura Maan  gaye....


Sunday, 26 July 2015

HASTA CHEHRA KYO RONE LAGA HAI..



Ujala kyo aaj bujh sa gaya hai
 Dil bhe najane ruk sa gaya hai
Nigaho se barse  jab tere aasu
Hasta hua chehra Rone laga hai

Tumhe dekh ye dil jalne laga hai
Dard hume bhe ab hone laga hai
Nigahe pooch Zara muskura do
Dil ye humara kyo tumpe fana hai

Nigaho se barse jab there aasu
Hasta hua chehra Rone laga hai

Gumsun hai badal or Kali ghata hai
Chand bhe chandni se kafa hai
Udasi chod Zara muskurado
Gumsum ye ashik peeche khada hai

Nigaho se barse jab there aasu
Hasta hua chehra Rone laga hai


AACHA LAGTA HAI..

AACHA  LAGTA HAI..

Uske Bin Chup - Chip rehna Acha Lagta Hai,
Khamoshio Se ek Dard ko Sehna Acha Lagta Hai.

Jis  Hasti ke yaad Mein Aasu Baraste Hai,
Samne  Uske Kuch Na Khana Acha Lagta Hai.

Milkar unse Bichad Na Jaye Darte  rahte Hai,
Isliye Door se he Nigah Bhar Dekhna Acha Lagta Hai.

Uska Milna Na Milna Kismat ki baat Hai,
Pal - Pal uske Yaad mein Rona Acha Lagta Hai.

Uske Bina  Sara Jagat kyo Bezubaa Lagta Hai,
Ro - Ro  kar Unki yaado mein sona   kyo Acha Lagta Hai.

Unke bina  kyo Dil ye humara Kacha Lagta Hai,
Baat -Baat Par Naam Lena Kyu Unka Acha Lagta Hai.

Humse Mahobbat ke Numaish Na ho Saki,
Bas itna Jante hai,
Apni Saaso Se Unki Saaso ko Chuna  Acha Lagta Hai..


DIL...

DIL...

Ek Dil kise ko Bahoot Chahta tha..
Apni Dhadkano Ko unki Dhadkano se Milata tha...
Dhookha Diya Jab Un  Dhadkano Ne,
To So Gaya ja ke vo un Jalti Lapto Mein,
Sone se Pahale usne Itna he Farmaya ki.

" Nikal Lena DIL Mera , Jisme Dhadkan Basi Hai,
Laut Ke Aauga Mein, Har Saas  Tujhse Judi Hai. "


Saturday, 25 July 2015

JIS RAAT YE CHEHRA NAZAR AAYA..

JIS RAAT YE CHEHRA NAZAR AAYA..

Unke naam ka sur  jab in labho pe aaya
Ik meetha sa dard is dil ne  jataya
Chehre ka noor itna noorana Hogaya
Jis  raat ye chehra  nazar aaya

Raat hue falak pe chand nazar aaya
Zakhmo ke daag itne ki dil bhar aaya
In zakhmo se humko  mili  tab rahat
Jis raat ye chehra nazar aaya

Tera husn is dil mein utar aaya
Registan mein bhe gulab nazar aaya
Aaye to the is dil ko katto se bachane Chubh he gaya ek ,
jis raat  ye chehra nazar aaya

Nigahe moondi to khwab nazar aaya
Us khwab mein khilta jaha nazar aaya
Aakhe khuli dard ubhar aaya raahat tab mili,
Jis  raat ye chehra nazar aaya

Parchhayi ka peecha kar ye dil aaya
Nigahooo mein doob kar ye ishq aaya
Sulag gaya taj bhe ye Dekh kar
Jis raat ye chehra nazar aaya...


Friday, 17 July 2015

PYAARI MAA ... MERI MAA...

Pyaari maa.. ❤ 
                  meri maa.. ❤
Rab ka dusra naam hai maa
maa ki mamta se roshan gulistaa..

khuda ki rehmt se milti hai maa
maa na ho toh suna jahaa..

Palko pe apni kaate sjaati hai maa
bacho ko fulo pe sulati hai maa

Roshan hai ghr m ye diya jabtak
naseeb m hgi her khushi tbtk

Dwa m nhi maa ki dua m asar zrur hota hai.
tbhi toh rab se phle maa ka zikr hota hai..

khuda ki rehmat , toh naseeb m maa .
khafa hai maa, toh rutha ye khuda..

maa bin bccho ka guzara nhi hai..
bina akash jaise koi tara nhi hai..

ye vo sukh h jo sub k sukh m nhi hota..
per iske bina koi shaks ujjawal nhi hota..

maa ki aankhe kabhi num na krna..
bichadne ka iske gum na krna..

jaati hai jha vha se khushiya brsaati hai maa
neeyam hai duniya ka, bccho pe jaa lutaati hai maa

Pyari Maa.. ❤
                   Meri maa ❤


By Shivani Bhanot...
     ( MAA.. Always Live )


Thursday, 9 July 2015

GUMSUM DUNIYA

Ye gazlo ki duniya bhe ajib hai
Yaha aasuooo ka bhe jaam banaya jata hai
Kehe
bhe dete hai agar dard -e-dastan
Fhir bhe yaha wahh-wahh pukara jata hai..



PYAARA SA KHWAB

Labho ke ras mein gulab doob jaye ga
Pyaara sa jab khwab nazar aaye ga
Khwabo se jab humara jahan khil jaye ga
Tumhara naam jis raat in hotho pe aaye ga..


KHWAB

Khwab na aaye aapke  isliye jaga karte the
Roz raat hum nashe mein dhut shayriya kiya  karte the
Choti choti siskiyo ke sath jab yaad tumhari aati the
Tasveer dekh tumhari roo liya karte the...


MAA .......

MAA


Zindagi mein bahoot kuch khoya hai
Lakin tujhe khona nahe chahata maa
Zindagi ne mujhe bahoot rulaya hai
Lakin tujhe rulana nahe chahta maa
Yaad aati hai bahoot tere bachpan ki vo lory
Isliye Teri god ke alava kahi or sons nahe chahta maa
Maut se kyo aaj dar lagta hai
Gale laga kar dar to door kar maa
Khabhi to khila apne haatho se roti
Aaj kal bhook bahoot lagti hai mujhe maa
Chood ke na jaana tu mujhe
Bhagwaan se rooz yahi dua karta hu mein maa...

Wednesday, 8 July 2015

PYAAR SE PYAARI

PYAAR SE PYAARI

Aapke jahan se niraali hai aada
Andaz aapke hai sabse juda
Dekhte he aapko hojate hai hum fida
Meherbaa ho jaye to lagti ho khuda

Aapko dekh chand bhe sharmaye ga
Aapse nigahe milane falak se utar aaye ga
Galte se bhe muskura na dena
Varna,
Chandni ko chod aapke in palu me chip jaye ga

Or hole se farmaye ga ki

" Aapke noor ko nihaarne ka dil karta hai

sari  umr aapke naam karne ka dil karta hai

ek shayar  ho aap kudrat ki

Aapko gazlo ka taj mahal banane ka dil karta hai.."

ye sunte he aapke chehre pe muskan aai the
ye dekh chand ne 4 line or sunai the

pyaar se pyaari lagne lagi ho tum
har sas mein mere bas chuki ho tum
jalne lagi hai aaj chandni bhe tumse
 kyo ki chand ki chandni banchuki ho tum ..


HAR RAAT YE HOTA HAI

This poem is for every Man who thinks girls are nothing but a object plz grow up become a man not a wild dog..  Do not become a bluddy rapist ...

Har Raat Ye Hota Hai...


Aaj bhe vo najane kahe na kahe soti hai
us kaali raat ko yaad kar - kar roti hai

sochti ho gi vo bhe najane kaha aah gai the
jaha har cheek uski  gehri nidra  mein so gai the

jab in jangli logo ne Hawas apni bujhai the
yaad inko tab apni behno ki na aai the

choot  rahe the saase uski kab tak ladti vo unse
nooch diya tha rooh tak usko kya karti vo phir jike

roya tha jab jaha saara us bechari ki maut pe
use pal ek or zulam hua us 5 saal ki jaan pe

jawan ko chodo inhone to choti bachi ko fasaya
5 saal ki ladki se apni hawas ko bujhaya

16 Dec. ki baat chodo Esa to roz hota hai
har raat kise na kise ladki ka bedardi se rape hota hai

Kuch to maa kee kokh mein aansuon tale dab gai hai
kuch bechari un darindo ke bhent chad gai hai

16 Dec. ki Vardat kyo roz doharai jaati hai,
kahe ander to kahe bahar hawas bujhai jati hai
agle din doordarshan pe jab khabar sunai jaati hai
us raat sadko par mobatiya jalai jaati hai


Koun jaane in paapiyon kee aatma kahan soti hogi...
Na ho kisi kee behan beti , maa jarur hoti hogi...
Are ye neech harkat karne walon sun lo aaj tum sab bhe
Koi roye na roye tumpe magar tumhari maa jarur roti hogi...


Balaatkariyon kee shikayat na karo balaatkariyon se...
Kya hoga sadak pe khade pradarshankariyon se...
Aage bad ke khud taang do sooli pe sabko...
Mat maango bheekh in bhikhaariyon se........


AAPKE KHATIR..

AAPKE KHATIR..


Apni saaso se zada tumhe chaha tha
Har khwab mein bas tumko he paya tha
Aapke in palko ke khatir
Khuda ne  ambar  sitaro se sajaya  tha

Khushboo  kyo aaj aapke itne gulzar hai
Chehre pe aapke kyo aaj noor hazar hai
Ishe noor ke khatir
Khuda ne chand ko diye daag hazar hai

Dil mein kyo aaj humne banai ek ala hai
Nigaho se bhe pee le meine shala hai
Ise shala ke khatir
Khuda ne banai  madhushala hai...





BAAT HUMNE TUMSE USDIN IK CHUPAI THE...

BAAT HUMNE TUMSE USDIN IK CHUPAI THE...

Us thandi kaali raat me jab tum khwab ban kar aai the
Baat humne tumse usdin ik chupai the

Chand ke chadar oode jab hole se sharmai the
Baat humne tumse usdin ik chupai the

Zulfe tumhare ud jab mere chehre pe lehrai the
Baat humne tumse usdin ok chupai the

Moti verge naidha se jab sharab hume pilaai the
Baat humne tumse usdin ik chupai the

Jis raat aap shabnam ban mere saaso me samaai the
Baat humne tumse usdin in chupai the

Mazharr ke chadar oode jab tum dharti me samaai the
Us raat mene tumko is DIL ke baat batai the

" zindagi hamaari yun hi khatm ho gayi
jis raat aap darti me dafn ho gayi
Likhe khuda ne mohobat sanke takdeer me
humare baare aati to shahe khatm ho gayi"