Friday, 16 October 2015

YE OR BAAT HAI...

Aaj kyo akela hu magar akela na samaj na
Chehre ke noor  ko andhera  na samaj na
Ye or baat hai dushmsn hua hai aaj tu mera
Doost tha kal tak use bura na samaj na

So raha hu mein  magar murda na samaj na
Khwab ko  kabhi adhoora na samajna
Ye or baat hai toot gaya tha khwab vo mera
Pyaar tha kal tak use bewafa mat samajna

Muskurat ko meri jhootha na samaj na
Roothe Dil ko kabhi toota  na samaj na
Ye or baat hai aaj vo Diya khud-b- khud bujh gaya
Har bar  kasoor tum hawa ka mat samajna



No comments:

Post a Comment